Wednesday, November 29, 2017

Rashq-e-Qamar


By Raza Elahi

Ye kaisa rumuuz-e-ishq hai

Tu duur hai par dil ke qareeb hai


Sochtaa hoon naama-bar ke har aahat par

Kya payaam-e-shauq mere nasib hai


Manzoor unka har maktuub mujhe

Par ye dam-e-intizaar kuch ajib hai


Khugar-e-qafas hoon jis tahriir ka

Nahiin uska koi ab khatiib hai


Nahiin ye takhta-e-mashq-e-sitam unka

Guman nahiin, ye mere yaqiin hai


Yaqiin to ye bhi aye Raza

Kahiin na kahiin, woh bhi qalb-e-muztarib hai


Ye kaisa rumuuz-e-ishq hai

Tu duur hai par dil ke qareeb hai


(elahi.raza82@gmail.com)


Meanings of Some Words Used Above:

Rumuuz-e-ishq = Secret of Love ; Duur = Far; Naama-bar = Messenger, postman; Payaam-e-shauq = Message of love; Maktuub = Letter, message; Khugar-e-qafas = Habituated to cage; Tahrir = Writings; Khatiib= Orator; Takhta-e-mashq-e-sitam = Act of tyranny; Qalb-e-muztarib = Restless heart

No comments:

Post a Comment